ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna
saba se saa.e se ḳhushbu se pyaar mat karna
hamen vahan ke bagule bane jo kahte the
tavaf-e-kucha-e-shahr-e-nigar mat karna
main Dhalti dhuup ki lau huun mira bharosa kya
nigah-e-sham mira intizar mat karna
na ḳhud tumhin pe kuchh ilzam-e-vaqt aa jaa.e
hamara shikva-e-sabr-o-qarar mat karna
ye sach hai ishq hi sabit-qadam nahin mera
main kah raha huun mira e’tibar mat karna
abhi hai ku-ba-ku phirna tujhe ‘musavvir’ abhi
umid-e-saya-e-divar-e-yar mat karna
Leave a Reply