Guzishta Raat Koi Chand Ghar Mein Utra Tha

guzishta raat koī chāñd ghar meñ utrā thā

vo ek ḳhvāb thā yā bas nazar kā dhokā thā

sitāre os mire saath sub.h tak ro.e

magar vo shaḳhs to patthar kā jaise turshā thā

bichhaḌte vaqt anā darmiyān thī varna

manānā donoñ ne ik dūsre ko chāhā thā

qarīb aa ke bhī ḳhvāboñ kī kho ga.iiñ kirneñ

ki mujh se aage mirā bad-nasīb saaya thā

gila nahīñ hai jo us ne mujhe na pahchānā

lahū-luhān mirī zindagī kā chehra thā

nigal sakā na shab-e-ġham kā azhdahā mujh ko

ufuq pe vaqt-e-sahar āftāb ubhrā thā

hasīn chāñd ke chehre pe paḌ ga.e dhabbe

ki mere dil ke añdhere se ye bhī guzrā thā

Leave a Comment