• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Mein Rakh zaKHm-E-Nawa Rah Mein Kaam Aaega

Dil Mein Rakh zaKHm-E-Nawa Rah Mein Kaam Aaega

poet

dil men rakh zaḳhm-e-nava raah men kaam aa.ega

dasht-e-be-samt men ik hu ka maqam aa.ega

is tarah paḌhta huun bahte hue dariya ki kitab

saf.ha-e-ab par ik aks-e-payam aa.ega

qarya-e-jan men the yadon ke shanasa chehre

ajnabi shahr men kis kis ka salam aa.ega

maslahat-kesh to gul-ha-e-sata.ish se lade

sach ke hathon men vahi zahr ka jaam aa.ega

raqs-e-raftar se kya raund chala phulon ko

aag par chal ki tujhe lutf-e-ḳhiram aa.ega

ḳhanjar-e-zahr-e-vafa dil men chhupa.e kab se

muntazir huun ki idhar vo sar-e-sham aa.ega

dida-e-dil se ‘zafar’ ḳhvab bhi chhin ja.enge

vaqt kahta hai ki ab aisa nizam aa.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aawara-E-Ghurbat Hun Thikana Nahin Milta

Wafa Ka Zikr chhiDa Tha Ki Raat Bit Gai

Aankhon Se Yun Charaghon Mein Dali Hai Raushni

Apne Purkhon Ki Riwayat Se haTta Hua Main

Dil-E-Nalan Teri Aahon Mein Asar Hai Ki Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet