• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zist Ke Aasar ruKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai

Zist Ke Aasar ruKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai

ziist ke asar ruḳhsat hain mohabbat dil men hai

karvan jaata hai mir-e-karvan manzil men hai

aao dam siine men baaqi hai na hasrat dil men hai

ab to jo kuchh hai vo chashm-e-muntazar ke til men hai

haan azal se jo muqaddar hai vahi hoga magar

jazba-e-ta.id-e-qudrat sa.i-e-la-hasil men hai

jan-sitan hai husn kya husn-e-talab ki ehtiyaj

vo to zinat ke liye ḳhanjar kaf-e-qatil men hai

jis ki manzil hai baqa vo jada-paima-e-fana

dil idhar naqis men shamil hai udhar kamil men hai

tab-e-ḳhalvat kaun la sakta hai dil to miT chuka

kis qadar qatil tira jalva bhari mahfil men hai

tu jise chahe haqiqat kah jise chahe majaz

ek surat jo nazar men hai vahi to dil men hai

iltija naz-afrini ke liye hai varna sun

aarzu ḳhud us ki shahid hai ki jalva dil men hai

ye mata-e-zist bhi hoti hai ‘mani’ nazr-e-maut

ik nazar ankhon men hai aur ek hasrat dil men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Justuju Rahraw-E-Ulfat Ki Jo Kaamil Ho Jae

abhishek-shukla

Paikar-e-Nur Mein dhalta Hi Chala Jata Hun

Is Tarah Mohabbat Mein Dil Pe Hukmarani Hai

Na Koi Dhul Na Manzil Na Rasta Dil Ka

Labon Se Aashnai De Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet