zindagi us ko raas aa.i hai
jis ne gham se hayat paa.i hai
kaun samjha fasana-e-dil ko
main huun tanha jahan ḳhuda.i hai
barq-e-sozan giri hai jab bhi kahin
aanch mere qafas tak aa.i hai
ik maza de ga.e hain kanTe bhi
haa.e kya shai barahna-pa.i hai
jab hansi lab pe aa.i hai ‘shariq’
aankh kya jaane kyon bhar aa.i he
Leave a Reply