Zindagi Tujhko Jiya Hai Koi Afsos Nahin

zindagī tujh ko jiyā hai koī afsos nahīñ

zahr ḳhud maiñ ne piyā hai koī afsos nahīñ

maiñ ne mujrim ko bhī mujrim na kahā duniyā meñ

bas yahī jurm kiyā hai koī afsos nahīñ

merī qismat meñ likhe the ye unhīñ ke aañsū

dil ke zaḳhmoñ ko siyā hai koī afsos nahīñ

ab gire sañg ki shīshoñ kī ho bārish ‘fākir’

ab kafan oḌh liyā hai koī afsos nahīñ

Leave a Comment