Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi to Aafat Aa Hi Jati Hai

dikhāte haiñ adā kuchh bhī to aafat aa hī jaatī hai

sambhal kar laakh chalte haiñ qayāmat aa hī jaatī hai

mohabbat meñ haiñ sabr-o-shukr ke har-chand ham qaa.il

magar kuchh kuchh kabhī lab par shikāyat aa hī jaatī hai

jo sach pūchho to haiñ āshiq bhī pairav nāznīnoñ ke

badan meñ nā-tavānī se nazākat aa hī jaatī hai

majāz ik parda-e-idrāk hai to chashm-e-bīnā ko

kisī sūrat nazar shakl-e-haqīqat aa hī jaatī hai

nahīñ jazb-e-dil-e-āshiq se hai ma.ashūq ko chāra

agar bedard bhī ho to mohabbat aa hī jaatī hai

butān-e-sīm-tan ke vasl se ham faiz paate haiñ

vo aate haiñ to apne ghar meñ daulat aa hī jaatī hai

tire ash.ār-e-rañgīñ se bhalā farhat na ho ‘ahqar’

ki in phūloñ se ḳhushbū-e-fasāhat aa hī jaatī hai

Leave a Comment