musafiron ka yahan se guzar nahin hai kya
tumhare shahr men koi shajar nahin hai kya
kisi bhi vaqt nigahen ye pher sakta hai
tumhen zamane ki kuchh bhi khabar nahin hai kya
jo tira-bakhti ka katib mila to puchhungi
mire nasib men koi sahar nahin hai kya
nikalte ho bahu ko jo ghar se nange sar
tumhare zehn men beti ka ghar nahin hai kya
khurach ke dekhungi hathon ki sab lakiron ko
vafa nibhane ka un men hunar nahin hai kya
tum aaine se mukhatab ho aj-kal ‘bilqis’
tumhare ghar men koi bhi bashar nahin hai kya
Leave a Reply