shayad abhi kami si masihaiyon men hai
jo dard hai vo ruuh ki gahraiyon men hai
jis ko kabhi khayal ka paikar na mil saka
vo aks mere zehn ki ranaiyon men hai
kal tak to zindagi thi tamasha bani hui
aur aaj zindagi bhi tamashaiyon men hai
hai kis liye ye vusat-e-daman-e-iltifat
dil ka sukun to inhi tanhaiyon men hai
ye dasht-e-arzu hai yahan ek ek dil
tujh ko khabar bhi hai tire saudaiyon men hai
tanha nahin hai ai shab-e-giryan diye ki lau
yadon ki ek shaam bhi parchhaiyon men hai
‘gulnar’ maslahat ki zaban men na baat kar
vo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon men hai
Leave a Reply