na diya us kuun ya diya qasid
sach bata naama kya kiya qasid
na phira aah koi le ke javab
jo gaya vaan so gum hua qasid
aaj avega ya na avega
mere ghar men vo dil-ruba qasid
dil ko hai saḳht intizar-e-javab
kah shitabi se kya kaha qasid
kucha-e-yar men mire zinhar
ja.iyo mat barhana-pa qasid
ḳhar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-vafa
vaan hain uftada ja-ba-ja qasid
nama-e-shauq ko mire le kar
yaar ke paas jab gaya qasid
mohr ko ḳhat ki dekh kahne laga
kaun ‘bedar’ hai bata qasid
jis ne bheja hai tere haath ye ḳhat
main nahin us se ashna qasid
Leave a Reply