• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Masum Dil Ki Hasraten Lafzon Mein Dhaal Kar

Masum Dil Ki Hasraten Lafzon Mein Dhaal Kar

ma.asum dil ki hasraten lafzon men Dhaal kar

rakhe hain ham ne dhuup men jugnu nikal kar

hai shiddat-e-talab ka mire alamiya yahi

rakh de na meri pyaas samundar ubaal kar

chalti nahin mohabbaton men jald-baziyan

hote nahin ye faisle sikke uchhal kar

va.adon ke jo khilaune thama kar gaya tha tu

main ne bhi rakh diye hain kahin par sambhal kar

phir yuun hua ki sabz ho uTha vo regzar

nikle jab un ke haath men ham haath Daal kar

tujh se jirah karunga magar shart hai yahi

jis ka javab tu ho mujhe vo saval kar

ik naznin ka dil hua hai gum-shuda kahin

aur ham khaḌe hain samne jeben nikal kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tarik Zindagi Ko Banane Laga Hai Wo

poet

Diye Se Yun Diya Jalta Rahega

firaq-gorakhpuri

Har Sans Mein Gulzar Se Khil Jate The

Milte Hain Muskura Ke Agarche Tamam Log

Dard Ko Hum Zindagi Ka Kaif-O-Kam Kahte Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet