zindagi tujh ko bhi aur tera tamasha dekhun
apni ma.asum si ankhon se main kya kya dekhun
kya siva is ke bhala aur nazara dekhun
raat ki shaḳh pe us chand ko baiTha dekhun
raqs karta hua guzra hai abhi hijr ka dukh
dhuul chhaT jaa.e to aage ka bhi rasta dekhun
ek vo din tha ki ik shaḳhs tha duniya meri
ek ye din hai ki har shaḳhs men duniya dekhun
meri niyyat to bahut baar parakh li us ne
main bhi us shaḳhs ka is baar irada dekhun
vaqt ke saath to ḳhud vaqt badal jaata hai
so hi ḳhvahish hai ki main ḳhud ko badalta dekhun
aur tu bol paḌe palken to jhapkaya karo
sochta huun tiri tasvir ko itna dekhun
Leave a Reply