• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Junun Ke Dam Se aaKHir Martaba Kaisa Mila Mujhko

Junun Ke Dam Se aaKHir Martaba Kaisa Mila Mujhko

junun ke dam se aḳhir martaba kaisa mila mujh ko

abhi farhad-o-qais aa.e the kahne marhaba mujh ko

kisi surat bhi radd hota nahin ye faisla dil ka

nazar aata nahin koi bhi tujh sa dusra mujh ko

sar-e-kunj-e-tamanna phir ḳhushi se gunguna.unga

agar vo lauT kar aa.e to phir tum dekhna mujh ko

na jan-e-rashk se ghusse se gham se ya raqabat se

ye kis andaz se takta hai tera aa.ina mujh ko

khule to sab zamanon ke ḳhazane haath aa jaa.en

dar-e-iqlim-e-haft-alam hai vo band-e-qaba mujh ko

guman men bhi guman lagti hai ab to zindagi meri

nazar aata hai ab vo ḳhvab men bhi ḳhvab sa mujh ko

kasafat baar pa sakti nahin aisi latafat men

karam us ka ki baḳhsha dil ke badle aabla mujh ko

saba meri qadam-bosi se pahle gul na dekhegi

agar vahshat ne kuchh din baagh men rahne diya mujh ko

na nikli aaj gar koi yahan yakja.i ki surat

to kal se DhunDte phirna jahan men ja-ba-ja mujh ko

guzargah-e-nafas men huun misal-e-barg-e-avara

koi dam men uḌa le ja.egi bad-e-fana mujh ko

vo dil-avez ankhen vo lab-o-ruḳhsar vo zulfen

nahin ab dekhna kuchh bhi nahin us ke siva mujh ko

azal se ta-abad duniya se le kar asmanon tak

nazar aata hai teri hi nazar ka silsila mujh ko

mire hone se hi kuchh e’tibar us ka bhi qaa.em hai

junun tum se nimaT lega jo divana kaha mujh ko

koi ‘irfan’ mujh men se mujhe avaz deta hai

are tu sochta kya hai kabhi kuchh to bata mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

MAHMUD SHABISTARI

Sawal – Sharab-O-Sham-O-Shahid Ra Che Mana-Ast

abhinandan-pandey

Tartib-O-Tawazun Ka Na Todenge Bharam Hum

Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti

poet

Haq-Nawa Jurat-E-Izhaar Tak Aa Pahunche Hain

Mere Ashaar Tamawwuj Pe Jo Aae Hue Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet