tumhare hathon ki ungliyon ki ye dekho poren ghulam tison
gharaz ki ghash hai agar na maano to jhaT uTha le kalam tison
imaam baara buruj baara anasir-o-jism-o-ruh ai dil
yahi to sarkar-e-haq-ta.ala ki hain mudar-ul-maham tison
nahin aja.ib kuchh aankh hi men rutubaten tiin saat parde
oquul das mudrikat das hain so karte rahte hain kaam tison
uluum chaudah maqula das aur jihat sitta bana.e us ne
umur-e-duniya ko taaki pahuncha.en ḳhuub sa insiram tison
bala.en kaali hain us pari bin ye tison raten kuchh aisi ‘insha’
ki har mahine ke din bhi jin ko kare hain jhuk kar salam tison
Leave a Reply