• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aabla-Pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein

Aabla-Pa Koi Guzra Tha Jo Pichhle San Mein

majrooh-sultanpuri

abla-pa koi guzra tha jo pichhle san men

surkh kanton ki bahar aai hai ab ke ban men

dekhna rang-e-badan yaar ke pairahan men

chandni duudh si chhitki hai mire angan men

dekhna dida-varo amad-e-tufan to nahin

tapki hai dard ki ek buund mire daman men

main ham-aghosh-e-sanam tha magar a pir-e-haram

ye shikan kaise padi aap ke pairahan men

kuchh na kuchh aaj asiron ne kaha to hai zarur

ek ik gul se lipatti hai saba gulshan men

sahal itne bhi nahin ai sitam-ijad ki ham

thaam lete hain gareban divane-pan men

sar taslim nahin bazu-e-qatil ka javab

akhirash maare gae khud bhi masiha an men

ja rahe ho to zara dekhna tum bhi ‘majruh’

meri ankhen vahin zindan ke kisi rauzan men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

MULLA JAMI

Man Hecham-O-Kam Ze-Hech Hum Bisyare

shakeel-badayuni

dil Markaz-E-Hijab Banaya Na Jaega

poet

Sajaen Mahfil-E-Yaran Na Shaghl-E-Jam Karen

poet

Main Chahun Bhi to Zabt-E-Guftugu Main La Nahin Sakta

poet

sainkaDon Gul Hue KHush-Rang Chaman Mein Khil Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet