• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zindagi Se Hasin Udasi Hai

Zindagi Se Hasin Udasi Hai

saima-nasim-bano

zindagi se hasin udasi hai

ye miri ham-nashin udasi hai

kab se pindar men muqayyad hai

kaisi parda-nashin udasi hai

lahza lahza use kashid karo

ki mai-e-angbin udasi hai

jura jura pila mujhe saaqi

man hiran satgin udasi hai

kaaba-e-dil men hai jo mahv-e-tavaf

jahan tab-e-jabin udasi hai

parbaton vadiyon men basti hai

jangalon ki makin udasi hai

vo tah-e-ab jal-pari si hai

meri sahra-nashin udasi hai

dekh kar la rahi hai hasti men

jan-e-jan ja-guzin udasi hai

sun adam se vajud tak har ja

khanuman men makin udasi hai

jada-o-sang-mil-o-maskan men

rahbaron ka yaqin udasi hai

diip bim-o-raja ka jaan gul ho

dekhna tum vahin udasi hai

zarb ik khol ki fasilon men

hashiyon ke qarin udasi hai

jauhar-e-hast mirza-‘ghalib’ thi

aaj khak-e-barin udasi hai

vaan khushi ki numu muhal si hai

us ke dil ki zamin udasi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Pabandi-E-Auqat-E-Dua Kis Ke Liye Hai

Ye Duniya Aani-Jaani Hai Koi Daim Nahin Rahta

Main Rang Birangi Morni Mere Pankh Bahut Mumtaz

poet

Un Ko Maine Apna Kaha Hai

Sunaen Hum Koi Qissa Hamari Dastan Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet