suna hai us ne ḳhizan ko bahar karna hai
ye jhuuT to hai magar e’tibar karna hai
ye aur baat mulaqat ho na ho lekin
qayamaton ka hamen intizar karna hai
mohabbaton ko bhi us ne ḳhata qarar diya
magar ye jurm hamen baar baar karna hai
har ek baar ye socha ki ab ki baar us ne
na jaane kaun sa Dhang iḳhtiyar karna hai
tum apna chand ḳhushi se tamam shab dekho
hamara kaam sitare shumar karna hai
Leave a Reply