zindagi ek tilismat ka a.ina hai
din jise kahte hain vo raat ka a.ina hai
jo bhi kahna ho tujhe meri taraf dekh ke kah
mera chehra tire jazbat ka a.ina hai
shaḳhsiyat men tiri utni hi chamak bhi hogi
jitna raushan tiri ḳhidmat ka a.ina hai
ahd-e-nau lafzon ke mafhum se vaqif hi nahin
kitna be-aks ḳhayalat ka a.ina hai
ab buzurgon ki virasat bhi nahin hai mahfuz
dhundhla dhundla sa rivayat ka a.ina hai
tere ruḳhsar ka ghaza hain badalte mausam
zulf-e-barham tiri barsat ka a.ina hai
Leave a Reply