Ehsas-E-Husn Ban Ke Nazar Mein Sama Gae

ehsās-e-husn ban ke nazar meñ samā ga.e

go laakh duur the vo magar paas aa ga.e

ik raushnī sī dil meñ thī vo bhī nahīñ rahī

vo kyā ga.e charāġh-e-tamannā bujhā ga.e

dair o haram hai aur to hāsil na kuchh huā

sajde ġhurūr-e-ishq kī qīmat ghaTā ga.e

tanhā-ravī meñ yuuñ to musībat thī har qadam

ham ahl-e-kārvāñ se to pīchhā chhuḌā ga.e

kitnā fareb-kār hai ehsās-e-bandagī

ham manzil-e-ḳhudī se bahut duur aa ga.e

ulfat meñ fikr-e-zīst nadāmat kī baat thī

achchhe rahe jo jaan kī baazī lagā ga.e

jo haal un kā thā vo hamīñ jānte haiñ ‘arsh’

yuuñ vo hamārī baat hañsī meñ uḌā ga.e

Leave a Comment