zinda rahne ki ye tarkib nikali main ne
apne hone ki khabar sab se chhupa li main ne
jab zamin ret ki manind sarakti paai
asman thaam liya jaan bacha li main ne
apne suraj ki tamazat ka bharam rakhne ko
narm chhanv men kadi dhuup mila li main ne
marhala koi judai ka jo darpesh hua
to tabassum ki rida gham ko udha li main ne
ek lamhe ko tiri samt se uttha badal
aur barish ki si ummid laga li main ne
baad muddat mujhe niind aai bade chain ki niind
khaak jab odh li aur khaak bichha li main ne
jo ‘alina’ ne sar-e-arsh dua bheji thi
us ki tasir yahin farsh pe pa li main ne
Leave a Reply