ye kis ke astane ki zamin maalum hoti hai
ki jumbish men miri lauh-e-jabin maalum hoti hai
do-rangi dair-o-kaaba ki nahin maalum hoti hai
haqiqat ashna meri jabin maalum hoti hai
main chahun bhi to sang-e-astan se uth nahin sakta
ki juzv-e-astan apni jabin maalum hoti hai
davan hai kashti-e-umr-e-ravan yuun bahr-e-hasti men
kahin ubhri kahin duubi kahin maalum hoti hai
ye ik be-rabt si jama-dari aur apne hi hathon
jahan pahle tha daman astin malum hoti hai
ye jalva-zar-e-duniya bhi ajab aina-khana hai
ki har tasvir hairat-afrin maalum hoti hai
tajalli husn-e-janan ki nahin mauquf aiman par
jahan mahsus karta huun vahin maalum hoti hai
nazar aate hain jalve vo jahan ke un ki chaukhat par
khudai ab mire zer-e-nagin maalum hoti hai
utar aaya hai naqsha astan-e-yar ka ‘afqar’
jabin-e-shauq ab meri jabin maalum hoti hai
Leave a Reply