zindagani ko adam-abad le jaane laga
har guzarta din kisi ki yaad le jaane laga
ek mahfil se uThaya hai dil-e-nashad ne
ek mahfil men dil-e-nashad le jaane laga
kis taraf se aa raha hai karvan asbab ka
kis taraf ye ḳhanuman-barbad le jaane laga
ik sitara mil gaya tha raat ki tamsil men
asmanon tak miri fariyad le jaane laga
main hi apni qaid men tha aur main hi ek din
kar ke apne aap ko azad le jaane laga
Leave a Reply