
Amjad Islam Amjad
zindagani javedani bhi nahin
lekin is ka koi saani bhi nahin
hai sava-neze pe suraj ka alam
tere gham ki sa.ebani bhi nahin
manzilen hi manzilen hain har taraf
raste ki ik nishani bhi nahin
aa.ine ki aankh men ab ke baras
koi aks-e-mehrbani bhi nahin
aankh bhi apni sarab-alud hai
aur is dariya men paani bhi nahin
juz tahayyur gard-bad-e-zist men
koi manzar ghair-fani bhi nahin
dard ko dilkash bana.en kis tarah
dastan-e-gham kahani bhi nahin
yuun luTa hai gulshan-e-vahm-o-guman
koi ḳhar-e-bad-gumani bhi nahin

Leave a Reply