kisi ki aankh men ḳhud ko talash karna hai
phir us ke ba.ad hamen a.inon se Darna hai
falak ki band gali ke faqir hain tare!
ki ghuum phir ke yahin se unhen guzarna hai
jo zindagi thi miri jaan! tere saath ga.i
bas ab to umr ke naqshe men vaqt bharna hai
jo tum chalo to abhi do qadam men kaT jaa.e
jo fasla mujhe sadiyon men paar karna hai
to kyuun na aaj yahin par qayam ho jaa.e
ki shab qarib hai aḳhir kahin Thaharna hai
vo mera sail-e-talab ho ki teri ra.ana.i
chaḌha hai jo bhi samundar use utarna hai
sahar hui to sitaron ne muund liin ankhen
vo kya karen ki jinhen intizar karna hai
ye ḳhvab hai ki haqiqat ḳhabar nahin ‘amjad’
magar hai jiina yahin par yahin pe marna hai
Leave a Reply