tum kab the qarib itne main kab duur raha huun
chhoḌo na karo baat ki main tum se ḳhafa huun
rahne do ki ab tum bhi mujhe paḌh na sakoge
barsat men kaghaz ki tarah bhiig gaya huun
sau baar girah de ke kisi aas ne joḌa
sau baar main dhage ki tarah TuuT chuka huun
ja.ega jahan tu miri avaz sunega
main chor ki manind tire dil men chhupa huun
ik nuqte pe aa kar bhi ham-ahang nahin hain
tu apna fasana hai to main apni sada huun
chheḌo na abhi shaḳh-e-shikasta ka fasana
Thahro main abhi raqs-e-saba dekh raha huun
manzil ka pata jis ne diya tha mujhe ‘baqi’
us shaḳhs se raste men ka.i baar mila huun
Leave a Reply