zinda hona aur na jiina tum hi kaho kya mumkin hai
khud ko kar dena an-dekha tum hi kaho kya mumkin hai
aas ki lau ankhon men jalae ladti jaun andheron se
raat hai raat ka ho na savera tum hi kaho kya mumkin hai
tez hava ka ik jhonka shoalon men badal ke rakh dega
chingari ko dabae rakhna tum hi kaho kya mumkin hai
jhuut ke paanv nahin hote ik roz to pakad jaega
sach ke haath kabhi nahin aana tum hi kaho kya mumkin hai
kis kis ko chup koi kare hain jitne munh hain utni baten
aag lage aur dhuan na uthna tum hi kaho kya mumkin hai
mumkin hai khul kar na kaha ho us se main ne magar ‘bilqis’
us jaise ka kuchh na samajhna tum hi kaho kya mumkin hai
Leave a Reply