zinda ho jaata huun main jab yaar ka aata hai khat
ruh-e-taza murda-dil ke vaste laata hai khat
tahniyat-nama nahin ye ai mire paighambar
us se kahna ashk-e-khun se surkh ho jaata hai khat
sar-zamin-e-qaf par hai fauj-e-zangi ka hujum
ye saman tere rukh-e-anvar pe dikhlata hai khat
dhamkiyan tahrir hon ya zulm ka mazmun ho
phir ye mere dil ko ai dildar bahlata hai khat
de ke khat qasid se vapas kar liya ye kah ke haae
us ko hoti hai tasalli jab mira jaata hai khat
halat-e-girya men nama-bar ki kuchh hajat nahin
ashk ke sailab men bahta hua jaata hai khat
kya shab-e-furqat ki teri be-qarari darj hai
nama-bar ko kyuun tira ai ‘barq’ tadpata hai khat
Leave a Reply