
Abdul Hamid
kabhi dekho to maujon ka tadapna kaisa lagta hai
ye dariya itna paani pi ke pyasa kaisa lagta hai
ham us se thodi duuri par hamesha ruk se jaate hain
na jaane us se milne ka irada kaisa lagta hai
main dhire dhire un ka dushman-e-jan banta jaata huun
vo ankhen kitni qatil hain vo chehra kaisa lagta hai
zaval-e-jism ko dekho to kuchh ehsas ho is ka
bikharta zarra zarra koi sahra kaisa lagta hai
falak par udte jaate badalon ko dekhta huun main
hava kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai

Leave a Reply