qalam men raushni kam aur dhuan ziyada hai
ghazal likhi to tabi.at ravan ziyada hai
mujhe to ilm nahin tu koi hisab laga
kahan pe kam hai mohabbat kahan ziyada hai
faqir laḌki huun mere liye mire ḳhaliq
jo sach kahun jo diya tu ne haan ziyada hai
mire makan ka sahra se kya muvazana hai
yahan pe shor ziyada ziyan ziyada hai
hamare hisse hai jo bhi hamen nahin ma.alum
zamin ziyada hai ya asman ziyada hai
ab us ki vapsi mumkin nahin kisi bhi tarah
yaqin se kahin vo bad-guman ziyada hai
hamare shahr men phulon ka zikr kaun kare
hamare shahr men ‘sadi’ ḳhizan ziyada hai
Leave a Reply