• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Akasr Is Tarah Se Bhi Raat Basar Hoti Hai

Akasr Is Tarah Se Bhi Raat Basar Hoti Hai

akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai

raat ki raat nazar janib-e-dar hoti hai

jis se duniya-e-sukun zer-o-zabar hoti hai

vo mulaqat sar-e-rahguzar hoti hai

Thes lagti hai jahan ishq ki ḳhuddari ko

zindagi baḌh ke vahin sina-sipar hoti hai

ye sapedi-e-sahar hai ki sitaron ka kafan

raat dam toḌ rahi hai ki sahar hoti hai

apne daman se to main ponchh raha huun aansu

daman-e-dost ki tauhin magar hoti hai

aap ara.ish-e-gesu men lage hain nahaq

fateh-e-dil to mohabbat ki nazar hoti hai

rasta roke hue kab se khaḌi hai duniya

na idhar hoti hai zalim na udhar hoti hai

tu nazar bhar ke sar-e-bazm na dekh un ko ‘nazir’

is se rusva.i-e-tahzib-e-nazar hoti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ahl-E-Duniya Naya Naya Hun Main

Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai

Wahm Jaisi Shukuk Jaisi Chiz

Qadam-E-KHush-Badanan Shoabda-Gar Hai Ki Nahin

ahmed-nisar

Ishq Mein Barbaad Hone Ke Siwa Rakkha Na Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet