apne andaz ka akela tha
is liye main bada akela tha
pyaar to janm ka akela tha
kya mira tajraba akela tha
saath tera na kuchh badal paaya
mera hi rasta akela tha
bakhshish-e-be-hisab ke aage
mera dast-e-dua akela tha
teri samjhaute-baz duniya men
kaun mere siva akela tha
jo bhi milta gale laga leta
kis qadar aaina akela tha
Leave a Reply