zikr us raat se hai vabasta
jo tiri zaat se hai vabasta
jiit meri faqat miri to nahin
ye tiri maat se hai vabasta
aankh se le ke dil talak ka safar
inkishafat se hai vabasta
koi to hai jo teri ankhon ke
in isharat se hai vabasta
mere ash.ar men tira paikar
isti.arat se hai vabasta
fikr ab tak tiri kahani ke
iqtibasat se hai vabasta
thiin miri aankh men kabhi kirnen
ab jo barsat se hai vabasta
hijr ke moḌ par jami hai nazar
aur lamhat se hai vabasta
kis ki aamad hai aaj jo ‘zaryab’
intizamat se hai vabasta
Leave a Reply