nahin ki chara-e-dard-e-nihan nahin ma.alum
dil-e-hazin ko ho manzur haan nahin ma.alum
le aa.i hai hamen vahshat kahan nahin ma.alum
savad-e-dasht hai ya gulistan nahin ma.alum
shahid-e-naz ki mayyat chale hain dafnane
magar hai kucha-e-janan kahan nahin ma.alum
hazaron ḳhaar chubhe hain hamare talvon men
qadam hain kis liye ab bhi ravan nahin ma.alum
subut-e-ishq men ham jaan de to den lekin
yaqin bhi la.ega bad-guman nahin ma.alum
azal se loTte angaron par ham aa.e hain
hai kab tak aur abhi imtihan nahin ma.alum
ilaaj kya karen ham aur kya bata.en haal
kahin hai dard magar hai kahan nahin ma.alum
jala dil aur hua raakh muddaten guzrin
ye ab uTha hai kahan se dhuan nahin ma.alum
na jaane kaun si manzil pe hai ki gum hain havas
dil-e-hazin hai kahan ham kahan nahin ma.alum
chaman men ham na ḳhas-o-ḳhar-e-ashiyan baaqi
lapak rahi hain ye kyuun bijliyan nahin ma.alum
gham-o-malal se paaya kabhi na dil ne faragh
qafas mila ki hamen ashiyan nahin ma.alum
thi qaid-e-zist ki aghosh-e-gham kisi ki ‘jigar’
ye ruuh jaa.e nikal kar kahan nahin ma.alum
kahan ga.e vo shab-o-roz aur vo mah-o-sal
kabhi ‘jigar’ bhi hue the javan nahin ma.alum
Leave a Reply