• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Juyan-E-Taza-Kari-E-Guftar Kuchh Kaho

Juyan-E-Taza-Kari-E-Guftar Kuchh Kaho

juyan-e-taza-kari-e-guftar kuchh kaho

tum bhi hue ho kashif-e-asrar kuchh kaho

shisha kahin se laao sharab-e-farang ka

baaqi jo thi hikayat-e-dildar kuchh kaho

jaane bhi do taghayyur-e-alam ki dastan

kis haal men hai nargis-e-bimar kuchh kaho

badal uThe hain chashmak-e-barq-o-sharar hai

munh dekhte ho surat-e-divar kuchh kaho

mutrib ko taaza bait sikhao hua hai narm

guzre kisi tarah to shab-e-tar kuchh kaho

Thahra hua hai vadi-e-gham men ramida vaqt

samjho bhi kuchh nazakat-e-bisyar kuchh kaho

zinda-dilan-e-shauq ne rakkha bahar naam

ik mauj-e-ḳhun ga.i sar-e-gulzar kuchh kaho

aghaz har taghayyur-e-alam ki had hua

us ki gali ka saya-e-divar kuchh kaho

uljhega aaj ji ki hava pech pech hai

banta nahin koi ruḳh-e-guftar kuchh kaho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya-E-Gham Ko Zer-O-Zabar Kar Sake to Kar

Kahan Ki Chaal Nikali Hai Ye Kahan Ki Tarah

Main Chup Raha Ki Zahr Yahi Mujhko Ras Tha

Fazaen Is Qadar Be-Kal Rahi Hain

fahmida-riaz

Zabanon Ka Bosa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet