ham ahl-e-nazara sham-o-sahar ankhon ko fidya karte hain
ham jalva jalva kahte hain vo parda parda karte hain
ai naseh tu kya kahta hai vo aajiz hai mai-noshi se
le tod rahe hain saghar ko ham aaj hi tauba karte hain
sarkar ka hai bazar bhi kya har jins kharidi jaati hai
bech aae sab iman dharam ham sar ka sauda karte hain
jab ham ne zaban kholi apni maslub hue maqtul hue
ye dekhiye ham khamosh hue sab mera charcha karte hain
ye kunj-e-qafas ye ah-o-buka ye ranj-o-alam hain mere liye
kya baat hui mil kar ham se kyunkar vo girya girte hain
vo dil apna bahlate hain is sham-o-sahar ke khel men ham
har sub.h dabate hain jazbe har shaam vo fitna karte hain
jab baat vafa ki aati hai jab manzar rang badalta hai
aur baat bigadne lagti hai vo phir ik vaada karte hain
Leave a Reply