Zehn Har Su Nigah Karta Hai

zehn har sū nigāh kartā hai

dil faqat un kī chaah kartā hai

haq vo rakhtā hai rūThne kā bhī

pyaar jo be-panāh kartā hai

jo kan-añkhiyoñ se dekhtā hai use

bā-salīqa gunāh kartā hai

faqr bhī us kā hai shahanshāhī

dil ko jo ḳhānqāh kartā hai

dil subūt-e-baqā-e-hastī meñ

dhaḌkanoñ ko gavāh kartā hai

qabl-e-manzil charāġh-e-rāhguzar

ḳhauf ko sadd-e-rāh kartā hai

‘shauq’ taḳhlīq-e-sher kyā jaane

sirf kāġhaz siyāh kartā hai

Leave a Comment