mahbub-e-nazar aap ke chehre ki ziya hai
matlub-e-jabin aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
ham ne tire jalve ka jise aks kaha hai
logon ne use phuul ka unvan diya hai
hanste hue taron ka gala ghonT diya hai
suraj ki shuaon ne baḌa zulm kiya hai
marta hai to mar jaa.e koi meri bala se
mujh ko mire mahaul ne ye dars diya hai
ankhon men hain aansu ki andhera hai pur-afshan
jis chehre ko dekha vahi dhundla sa laga hai
Leave a Reply