rasa.i ka qarina aankh men hai
zahe-qismat madina aankh men hai
main tere shahr ki janib ravan huun
sar-e-dariya safina aankh men hai
tire dast-e-rasa men bab-e-rahmat
shafa.at ka ḳhazina aankh men hai
na chaTḳhe dekhna ye tishnagi se
talab ka abgina aankh men hai
jila de is ko apni raushni se
duaon ka nagina aankh men hai
Leave a Reply