zauq-e-nazar ko jalva-e-be-tab le gaya
ta.abir ke nashat ko ik ḳhvab le gaya
mauj-e-subuk-ḳhiram ki tahrik hi to tha
vo hausla jo mujh ko tah-e-ab le gaya
sar un ki bargah men jhuk to gaya magar
dil abru-e-mimbar-o-mehrab le gaya
naghmat-e-dil faza men bikharne na paa.e the
tar-e-nafas ko sadma-e-mizrab le gaya
dil irtiqa-e-zehn ka hasil to ho gaya
husn-e-yaqin ko alam-e-asbab le gaya
hairat-fishaniyan mujhe de to gaya magar
a.ina zindagi ki tab-o-tab le gaya
ham ne mahal bana.e the kuchh regzar par
jin ko baha ke vaqt ka sailab le gaya
Leave a Reply