zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka
tanha kabhi vo anjuman-ara na mil saka
ham par to jald khul gaya sahil ka sab bharam
achchhe rahe vo jin ko kinara na mil saka
yak-tarfa rabta hi nibhana pada hamen
un ki taraf se koi ishara na mil saka
tum bhi qusur-var nahin qissa mukhtasar
mera tumhare saath sitara na mil saka
shahron ki khaak chhani khangale hain dasht o dar
lekin hamen suragh hamara na mil saka
main bhi thi khud-pasand nahin is men shak koi
aksar to par mizaj tumhara na mil saka
ai kaash sathiyon se vo apne kabhi kahe
‘shabnam’ sa koi mujh ko dobara na mil saka
Leave a Reply