zarf se badh ke ho itna nahin manga jaata
pyaas lagti hai to dariya nahin manga jaata
chand jaisi bhi ho beti kisi muflisi ki to
unche ghar valon se rishta nahin manga jaata
dosti kar ke hava se jo jala den ghar ko
un charaghon se ujala nahin manga jaata
apne kamzor buzurgon ka sahara mat lo
sukhe pedon se to saaya nahin manga jaata
pet bharte hain jo mange hue tukde kha kar
un ke hathon se nivala nahin manga jaata
bhiik bhi mango to tahzib ka kaasa le kar
haath phaila ke khazana nahin manga jaata
hai ibadat ke liye shart aqidat ‘dana’
bandagi ke liye sajda nahin manga jaata
Leave a Reply