mere fankar
”mujhe khuub tarasha tu ne
aankh nilam ki
badan chandi ka
yaqut ke lab
ye tire
zauq-e-talab ke bhi hain
meaar ajab
paaon men mere
ye pazeb
saja di tu ne
nuqrai taar men avaz mundha di tu ne
ye javahar se jadi
qimti murat meri
apne saman-e-taayyush men laga di tu ne
main ne maana
ki hasin hai tira shahkar
magar
tere shahkar men
mujh jaisi koi baat nahin
tujh ko nilam si
nazar aati hain ankhen meri
dard ke in men samundar
nahin dekhe tu ne
tu ne
jab ki
lab o rukhsar ki khattati ki
jo varaq likkhe the
dil par
nahin dekhe tu ne
mere fankar
tire zauq
tire fan ka kamal
mere pindar ki qimat
na chuka paega
tu ne but ya to tarashe
ya tarashe hain khuda
tu bhala kya miri tasvir
bana paega
tere auraq se
ye shakl mitani hogi
apni tasvir
mujhe aap banani hogi
hosh bhi
jurat-e-guftar bhi
binai bhi
jurat-e-ishq bhi hai
zabt ki raanai bhi
jitne jauhar hain numu ke
miri taamir men hain
dekh ye rang
jo taaza miri tasvir men hain
Leave a Reply