kidhar ja.un kahin rasta nahin hai
kahan Dubun ki dil dariya nahin hai
idhar badal kabhi barsa nahin hai
jahan tak shaḳh hai patta nahin hai
use chhat par khaḌe dekha tha main ne
ki jis ke ghar ka darvaza nahin hai
vahi hai ghonsla chimni ke pichhe
magar chiḌiyon ka vo joḌa nahin hai
badan ke loch tak azad hai vo
use tahzib ne bandha nahin hai
tire honTon ko chhu dekhun to kahiyo
mire honTon men kya aisa nahin hai
badan Dhanpe hue phirta huun yaani
havas ke naam par dhaga nahin hai
sabhi insan farishte ho ga.e hain
kisi divar men saaya nahin hai
main is darja muazzaz ho gaya huun
vo mere samne hansta nahin hai
Leave a Reply