dekhna har subh tujh rukhsar ka
hai mutala matla-e-anvar ka
bulbul o parvana karna dil ke taiin
kaam hai tujh chehra-e-gul-nar ka
subh tera dars paaya tha sanam
shauq-e-dil mohtaj hai takrar ka
maah ke siine upar ai shama-ru
daagh hai tujh husn ki jhalkar ka
dil kuun deta hai hamare pech-o-tab
pech tere turra-e-tarrar ka
jo sunya tere dahan suun yak bachan
bhed paaya nuskha-e-asrar ka
chahta hai is jahan men gar bahisht
ja tamasha dekh us rukhsar ka
aarsi ke haath suun darta hai khat
chor kuun hai khauf chaukidar ka
sar-kashi atish-mizaji hai sabab
nasehon ko garmi-e-bazar ka
ai ‘vali’ kyuun sun sake naseh ki baat
jo divana hai pari-rukhsar ka
Leave a Reply