zard patton ko daraḳhton se juda hona hi tha
ham ki dariya hain samundar ki ghiza hona hi tha
aur kab tak be-samar rakhti ḳhizan peḌon ke haath
rut badal jaana thi ye jangal hara hona hi tha
rokne se kab hava ke narm jhonke ruk sake
band darvazon ko ik din nim-va hona hi tha
dhuul kab tak jhonke ik dusre ki aankh men
ek din to jhuuT sach ka faisla hona hi tha
tez dharon se bichhaḌ kar un kinaron par ‘najib’
mauj-e-dariya ki tarah be-dast-o-pa hona hi tha
Leave a Reply