• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hijr Ki Umr Badhi Hai

Hijr Ki Umr Badhi Hai

sameena-raja

hijr ki umr badhi hai to ham un ankhon ko

ab kisi khvab-nagar men nahin jaane denge

gham se ab dosti kar lenge

khushi ko nahin aane denge

hijr ke vaqt men ahval shab-o-roz ka kya puchhte ho

us men saaat bhi zamanon se badi hoti hai

din khada hota hai jallad ke manind sabhi raton par

raat daain ki tarah

vaqt ke naake men adi hoti hai

hijr ke saath men vo qahr hai

jiina bhi garan aur na jiina mushkil

hijr ke haath men vo zahr hai

piina bhi muhal aur na piina mushkil

hijr darvesh nahin

hijr kam-andesh nahin

hijr nahin pir-e-mughan

hijr ayyar hai

duniya ka talabgar hai

ab tak hai javan

hijr ki umr badhi hai to chalo ham khud hi

naqsh sab dil se mita dete hain

haath jiine se utha lete hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahida-hasan

Koi Tara Na dikha Sham Ki Virani Mein

Lakh Gham Sine Se lipTe Rahe Nagan Ki Tarah

salma-shaheen-1

Use Bhula Na Saki Naqsh Itne Gahre The

Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae

Dil Par Yunhi choT Lagi to Kuchh Din KHub Malal Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet