zara bhi kaam na aa.ega muskurana kya
tana rahega udasi ka shamiyana kya
main chahta huun takalluf bhi tark kar do tum
nahin hain ab vo marasim to ana-jana kya
tamam tir-o-tabar kya mire liye hi hain
mujhi pe lagna hai duniya ka har nishana kya
unhin ko chiir ke baḌhna hai ab kinare par
utar ga.e hain to lahron se ḳhauf khana kya
yuun apni zaat ke dar par khaḌe ho kab se tum
ki apne ghar bhi hai avaz de ke jaana kya
Leave a Reply