uTh ke logon se kinare aa.iye
kuchh hamen kahna hai pyare aa.iye
gar ijazat ho to parvana ki tarah
sadqa hone ko tumhare aa.iye
muddaton se aarzu ye dil men hai
ek din tu ghar hamare aa.iye
kuchh to ki tasir naala ne mire
aa.e tum muddat men baare aa.iye
aap ki kal yaad men ‘bedar’ ko
ginte guzri raat taare aa.iye
Leave a Reply