vo shab kis tirgi men kho ga.i hai
palaT kar phir na aa.i jo ga.i hai
abhi aati huun kah kar vo ga.i hai
bahana hi bana kar to ga.i hai
mohabbat soch kar main ne nahin ki
mohabbat adatan phir ho ga.i hai
jo kahti hai ki ḳhush hai duur rah kar
vo mera naam sun kar ro ga.i hai
tiri ḳhushbu ka ḳhat men zikr paḌh kar
divani ek titli ho ga.i hai
shikasta-hal rusva gham-shanasa
firaq-e-yar ki shab so ga.i hai
ḳhuda-hafiz ho us ka jo mohabbat
fana hone ki ḳhatir ho ga.i hai
Leave a Reply