• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zanjir kaT Ke Kya Giri Aadhe Safar Ke Bich

Zanjir kaT Ke Kya Giri Aadhe Safar Ke Bich

zanjir kaT ke kya giri aadhe safar ke biich

main sar pakaḌ ke baiTh gaya rahguzar ke biich

utra lahad men ḳhvahishon ke saath aadmi

jaise musafiron-bhari naav bhanvar ke biich

dushman se kya bacha.engi ye jhaḌiyan mujhe

bachte nahin yahan to payambar shajar ke biich

jitna uḌa main utna ulajhta chala gaya

ik tar-e-kam-numa tha mire bal-o-par ke biich

dete ho dastaken yahan sar phoḌte ho vaan

kuchh farq to rava rakho divar-o-dar ke biich

ghar se chala to ghar ki udasi sisak uThi

main ne use bhi rakh liya raḳht-e-safar ke biich

thakne ke ham nahin the magar ab ke yuun hua

deta raha fareb sitara safar ke biich

mera sabhi ke saath ravayya hai ek sa

‘shahid’ mujhe tamiz nahin ḳhair o shar ke biich

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ajab Sa Wo Irada Kar Raha Hai

Yaadon Ka Ajib Silsila Hai

ahmad-nadeem-qasmi

Sham Ko Subh-E-Chaman Yaad Aai

aalok-shrivastav

Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga

Hai Bais-E-Sukun suKHan-War Tumhaara Nam

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet